Ankhein khuli duniya daari dekhi maine jabse Soya nahi ab tak main jaag raha tabse Rote nahi ladke Bachpan se maine seekhe School ki race me kabhi aage kabhi peeche yeh neech hai kheeche hume upar se neeche hai choti si soch inki out of reach hai School bag badal kar Office ki bag bani Taash ki tarah Bikhre Aur hum ab hum nahi Kandhe me boj ko uthaata chal pada main Bheed ki thokaron mein laapata khada main Tu bada kar naukri kamaa behisaab Main fail horaha ab padhun kaunsi kitaab Maa se hai sukoon , kamaane ka junoon jab woh hi na rahenge tab bas khaulta yeh khoon Maa se hai yeh ghar , par woh ja chuki qabr , jaate jaate mujhko de gayi sabar Mard , Mard , Mard Na dekhe dhoop aur Na sard Koi puchkar dekhe inhe Kyunki mard ko hota hai dard Mard mard mard kare farz utaare karz koi puchta kyun nahi hai kyunki mard ko bhi hota hai dard Bete se main bhai bana Haan main kasayi bana Aman nahi tabaahi bana marham na dawai bana Jaane main kya hi bana Insaani nahi Kamaayi bana Qaidi no 29 band jail na rihaayi bana Chota sa yeh dil Mujhe woh gayi mil dikha wahin kinaara shayad meri manzil Itni bhi kya jaldi kismat palti maare aaye gaye baar baar barbaad hum saare Aasan nahi hai yeh pyar bhi aasan nahi Mil jaaye to sahi par na mile to ghumaan nahi hai mudatton ke baad duaon ke hai baad roze vrath maine rakhhe paaya tujhko aabaad kiye jhagde fasaad khuda likhta hisaab Dikhaate woh ruaab aur bante gaye kasaab pyar to pyar ya paana ya khona kismat me likha ya milna ya rona Mard mard mard kare farz utare karz koi puchta kyun nahi hai kyunki mard ko bhi hota hai dard Mard mard mard kare farz utare karz koi puchta kyun nahi hai kyunki mard ko bhi hota hai dard Mard yehi hai tab bhi tha aaj bhi hai aage bhi wahi hai